Album Blurred Banner Image

Rote Hue Aate Hain Sab Song

Album : 50 Glorious Remix Years
Singer : Chorus,Kishore Kumar
Lyricist : Anjaan
Music Director : Kalyanji-Anandji

Added to Cart Added to Cart
ADD

Rote Hue Aate Hain Sab Song Lyrics

Rote hue aate hain sab
Rote hue aate hain sab
Hasta hua joh jayega
Woh muqaddar ka sikandar
Woh muqaddar ka sikandar
Jaan-e-man kehlayega
Rote hue aate hain sab
Hasta hua joh jayega

Woh sikandar kya tha jisne zulm se jeeta jahaan
Woh sikandar kya tha jisne zulm se jeeta jahaan
Pyar se jeete dilon ko woh jhuka de aasmaan
Joh sitaron par kahani pyar ki likh jayega
Woh muqaddar ka sikandar
Woh muqaddar ka sikandar
Jaan-e-man kehlayega

Rote hue aate hain sab
Hasta hua joh jayega

Zindagi toh bewafa hai ek din thukrayegi
Zindagi toh bewafa hai ek din thukrayegi
Maut mehbooba hai apne saath lekar jayegi
Marke jeene ki adaa joh duniya ko sikhlayega
Woh muqaddar ka sikandar
Woh muqaddar ka sikandar
Jaan-e-man kehlayega

Rote hue aate hain sab
Hasta hua joh jayega

Humne maana yeh zamana dard ki jageer hai
Humne maana yeh zamana dard ki jageer hai
Har kadam pe aasuon ki ik nayi zanjeer hai
Haal-e-gham par joh khushi ke geet gata jayega
Woh muqaddar ka sikandar
Woh muqaddar ka sikandar
Jaan-e-man kehlayega
Rote hue aate hain sab
Hasta hua joh jayega
Woh muqaddar ka sikandar
Woh muqaddar ka sikandar
Jaan-e-man kehlayega
Jaan-e-man kehlayega
Jaan-e-man kehlayega





90 sec preview Mere Khwabon Mein Dilwale Dulhania Le Jayenge
Added to Cart
Add