Album Blurred Banner Image

Mera Pyar Woh Hai Song

Album : Yeh Raat Phir Na Aayegi
Singer : Mahendra Kapoor
Lyricist : S.H. Bihari
Music Director : O.P. Nayyar
Star Cast : Biswajit, Sharmila Tagore, Biswajeet

Added to Cart Added to Cart
ADD

Mera Pyar Woh Hai Song Lyrics

mera pyaar woh hain ke mar kar bhi tumko
juda apani baaho se hone na dega
mera pyaar woh hain ke mar kar bhi tumko
juda apani baaho se hone na dega
mili mujhako jannat toh, jannat ke badale
khuda se meri jaan tumhe maang lega
mera pyaar woh hain

jamana toh karwat badalata rahega
naye jindagi ke tarane banenge
mitegi naa lekin mohabbat hamari
mitane ke sau sau bahane banenge
hakikat hamesha hakikat rahegi
kabhi bhi na iss ka fasana banega
mera pyar woh hain

tumhe chhin le meri baaho se koyi
mera pyar yu besahara nahi hai
tumhara badan chandani aake chhu le
mere dil ko yeh bhi gawara ni hai
khuda bhi agar tumase aake mile toh
tumhari kasam hai ai mera dil jalega
mera pyaar woh hain ke mar kar bhi tumko
juda apani baaho se hone na dega
mili mujhako jannat toh, jannat ke badale
khuda se meri jaan tumhe maang lega
mera pyaar woh hain





90 sec preview Mere Khwabon Mein Dilwale Dulhania Le Jayenge
Added to Cart
Add