Album Blurred Banner Image

Kaun Disha Mein Leke Chala Song

Album : Nadiya Ke Paar
Singer : Hemlata, Jaspal Singh
Lyricist : Ravindra Jain
Music Director : Ravindra Jain
Star Cast : Sachin, Sadhana Singh

Added to Cart Added to Cart
ADD

Kaun Disha Mein Leke Chala Song Lyrics

Kaun disa mein leke
Chala re batuhiya
Kaun disa mein leke
Chala re batuhiya
Kaun disa mein leke
Chala re batuhiya
Yeh thehar thehar
Yeh suhaani si dagar
Jara dekhan de dekhan de
Mann bharmaaye naina
Bhaandhe yeh dagariya
Mann bharmaaye naina
Bhaandhe yeh dagariya
Kahin gaye jo thehar
Din jaayega gujar
Gaadi haakan de haakan de
Kaun disa mein leke chala
Re batuhiya kaun disa mein


Pehali baar hum nikale hai
Ghar se kisi anjaane ke sang ho
Anjaane se pehchaan badhegi
Toh mehak uthega tora ang ho
Mehak se tu kahin behak na jaana
Mehak se tu kahin behak na jaana
Na karana mohe tang ho o o…
Tang karane ka tose
Naata hai gujariya
Tang karane ka tose
Naata hai gujariya
Hey thehar thehar
Yeh suhaani si dagar
Jara dekhan de dekhan de
Kaun disa mein leke chala
Re batuhiya kaun disa mein


Kitani dur abhi kitani dur
Hai yeh chandan tora gaanv ho
Kitana apana lagane lage
Jab koyi bulaaye leke naam ho
Naam na le toh kya
Kehake bulaayein
Naam na le toh kya
Kehake bulaayein
Kaise chalaaye kaam ho…
Saathi mitawa ya
Anaadi kaho goriya
Saathi mitawa ya
Anaadi kaho goriya
Kahin gaye jo thehar
Din jaayega gujar
Gaadi haakan de haakan de
Kaun disa mein leke chala re
Batuhiya kaun disa mein


Yeh gunja uss din tori
Sakhiya karati thi kya baat ho
Kehati thi tore saath
Chalan ko so aa
Gaye hum tore saath ho
Saath adhura tab tak jab tak
Saath adhura tab tak jab tak
Pure na ho phere saat
Abb hi toh hamari
Hai baali re umariya
Abb hi toh hamari
Hai baali re umariya
Ai thehar thehar
Yeh suhaani si dagar
Jara dekhan de dekhan de
Mann bharmaaye naina
Bhaandhe yeh dagariya
Mann bharmaaye naina
Bhaandhe yeh dagariya
Kahin gaye jo thehar
Din jaayega gujar
Gaadi haakan de dekhan de
Mann bharmaaye
Naina bhaandhe yeh
Dagariya mann bharmaaye.





90 sec preview Mere Khwabon Mein Dilwale Dulhania Le Jayenge
Added to Cart
Add