Album Blurred Banner Image

Humne Suna Tha Ek Hai Bharat Song

Album : Didi
Singer : Asha Bhosle,Mohammed Rafi,Sudha Malhotra
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Music Director : Sudha Malhotra, N. Datta, N. Dutta
Star Cast : Sunil Dutt

Added to Cart Added to Cart
ADD

Humne Suna Tha Ek Hai Bharat Song Lyrics

Ham ne sunaa thha
Ek hai bharat
Sab mulkon se
Nek hai bharat
Lekin jab nazdeek se dekha
Soch samajh kar theek se dekha
Ham ne naqshe aur hi paaye
Badle huye sab taur hi paaye
Ek se ek ki baat judaa hai
Dharma judaa hai zaat judaa hai
Aap ne jo kuch ham ko padhaaya
Wo to kahin bhi nazar na aaya


Jo kuch main ne tum ko padhaaya
Us me kuch bhi jhoot nahin
Aasha se bhaasha na miley to
Is ka matlab phoot nahin
Ik daali par reh kar jaise
Phool judaa hain paat judaa
Bura nahin gar yoon hi watan mein
Dharm judaa ho zaat judaa
Apne watan mein


Wahi hai jab quran ka kehna
Jo hai ved puraan ka kehna
Phir yeh shor sharaaba kyun hai
Itna khoon kharaaba kyun hai
Apne watan mein


Sadiyon tak is desh mein bachchon
Rahi hukumat gairon ki
Abhi talak ham sab ke munh par
Dhool hai un ke pairon ki
Ladwaao aur raaj karo
Yeh un logon ki hikmat thhi
Un logon ki chaal mein aana
Ham logon ki zillat thhi
Yeh jo bair hai ik dooje se
Yeh jo photo aur ranjish hai
Unhin videshi aaqaaon ki
Sochi samjhi bakhshish hai
Apne watan mein


Kuch insaan brahman kyun hain
Kuch insaan harijan kyun hain
Ek ki itni izzat kyun hai
Ek ki itni zillat kyun hai
Dhan aur gyaan ko
Taaqat walon ne apni jaageer kahaa
Mehnat aur ghulaami ko
Kamzoron ki taqdeer kahaa
Insaanon ka yeh batwaara
Vehshat aur jahaalat hai
Jo nafrat ki shiksha de
Wo dharma nahin hai laanat hai
Janam se koyi neech nahin hai
Janam se koyi mahaan nahin
Karam se badh kar kisi manushya ki
Koyi bhi pehchaan nahin


Ab to desh mein azaadi hai
Ab kyun janta fariyaadi hai
Kab jaayega daur puraana
Kab aayega naya zamaana
Sadiyon ki bhookh aur bekaari
Kya ik din mein jaayegi
Is ujde gulshan par rangat
Aate aate aayegi.





90 sec preview Mere Khwabon Mein Dilwale Dulhania Le Jayenge
Added to Cart
Add