Home

Madhuban Khushboo Deta Hai (Duet) Song

Album : Saajan Bina Suhagan
Singer : K.J. Yesudas, Anuradha Paudwal
Lyricist : Indiwar
Music Director : Usha Khanna
Star Cast : Nutan, Rajendra Kumar, Baby Padmini

Madhuban Khushboo Deta Hai (Duet) Song Lyrics

madhuban khushbu deta hai, sagar sawan deta hai
jina uska jina hai, jo auro ko jiwan deta hai
madhuban khushbu deta hai

suraj na ban paye to ban ke deepak jalta chal
suraj na ban paye to ban ke deepak jalta chal
phul mile ya angare, sach ki raho pe chalta chal
sach ki raho pe chalta chal
pyar dilo ko deta hai, ashko ko daman deta hai
jina uska jina hai, jo auro ko jiwan deta hai
madhuban khushbu deta hai, sagar sawan deta hai
madhuban khushbu deta hai

chalti hai laharake pawan ke sans sabhi ki chalti rahe
chalti hai laharake pawan ke sans sabhi ki chalti rahe
logo ne tyag diye jiwan, ke preet dilo me palti rahe
ke preet dilo me palti rahe
dil wo dil hai jo auro ko, apni dhadkan deta hai
jina uska jina hai, jo auro ko jiwan deta hai
madhuban khushbu deta hai, sagar sawan deta hai
madhuban khushbu deta hai

Top Albums by Artistes