Home

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Song

Album : Loafer
Singer : Mahendra Kapoor
Lyricist : Anand Bakshi
Music Director : Laxmikant-Pyarelal
Star Cast : Dharmendra, Om Prakash

Duniya Mein Tera Hai Bada Naam Song Lyrics

duniya me tera hain bada naam
aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam
meri vinti sune to janu
meri vinti sune to janu
maanu tujhe main raam
raam nahi to kar dunga
sare jag me badnaam
duniya me tera hain bada naam
aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

sathi jagat me bas ek apna
sathi jagat me bas ek apna
is jivan ka aakhkri sapna
wo bhi tod ke data na le
yu muh mod ke data na le
sar pe tu ye iljaam
raam nahi to kar dunga
sare jag me badnaam
duniya me tera hain bada naam
aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam

majburi tere dar pe le aayi
majburi tere dar pe le aayi
aash ki maine jyoti jagai
o man ki bujhti jyoti jaga de
meri tuti aas bandha de
aaya main tere dham
raam nahi to kar dunga
sare jag me badnaam
duniya me tera hain bada naam
aaj mujhe bhi tujhse pad gaya kaam
meri vinti sune to janu
meri vinti sune to janu
ho raam ho raam
meri vinti sune to janu
meri vinti sune to janu
ho raam ho raam

Top Albums by Artistes